Mehwi Admin
Posts : 167 Points : 437 Reputation : 0 Join date : 2009-05-10 Age : 38 Location : kuwait
| Subject: Chicken Fried Rice...... Fri Jun 19, 2009 10:00 am | |
| [color]
Chawal...... ......... ......... ......... ......Aadha Kilo
{Boil ker lein ( boil ais ekerna hai k 6 se 7 glass pani ho ga aur 2 chaye k chamch namak is main chawal boil ker lein } aik kani Rakh ker aik kani se murad chwal ko mukamal nahi pakana aur dam nahi lagwana sirf boil kerna hai aur itna k thora sa bus kacha pan ho }{jab aik kani reh jaye to chawal se pani nikal lein ya aisi chani main dalein k jis se pani nikal jaye aur chawal chani main reh jaye sahi ]
Chicken ............ ......... ......... ......... Aik Paow
{Pakanay k Bartan main nonstick ho to behter hai us main 2 chutki namak dal ekr chicken thora sa fry ker k hadi samait he pani main dal ker Boil ker lein jab chicken sahi s egal jaye to pani se nikal ker is k Reshay mean tukray ker lein }
Pyaz........ ......... .......Aik Choti {bareek kat lein
Lehsan paste....... ......... ......1 chaye ka chamch
Gajar....... ......... ......... ......... ......... ..1 cup (choti magar chakor main kati hon inhe b ubltay hue pani main 5 min k liye dalein aur nikal lein }
Matar....... ......... ......... ....Aik Cup {Ublay Hue}
Band Gobhi....... ......... ......... ........Aik Cup bareek kati hui}
Shimla Mirch....... ......... ......... ......chothayi cup choti or chakor kati ho}
Chiness Salt........ ......... ...aik chaye ka chamch
Salt........ ......... ..... Hasb e Zaiqa
Soya Sauce....... ......... .....1 n half khane ka chamch
Chili sauce....... ......... ........2 khane k chamch
Garm masala ya Kali mirch powder...... ........half chaye ka chamch
Lemon juice....... ......... ......... .aik chaye ka chamch
agar lemon juice nahi to sirka sada le lein aik chaye ka chamch
Anda........ ......... ......... ........1 adad
{omlate bana lein sada namak 2 chutki ,chiness salt 1 chutki aur omlate bana lein}
Oil......... ......... ......... ....Half Cup
Tarkeeb:
Nonstick Pein mein ya kisi bhi pakanay k bartan main oil dalein is mein pyaz aur lehsan dalein golden hone lage dono chizein to is main chicken jo boiled hai us k reshay eman choptay chotay tukre dal dein aur bhunein 2 min zyada nahi ab chiness namak aik chaye ka chamch sada namak hasb e zarurat dal dein aur mix kerne k baad is main tumam sabziyan ublay hue matar gajrein band gobhi yeh sab dal ker 5 min bhunein ab is main chili sauce, soya sauce,lemoo ka rus ya sirka dal dein aur bhunein 5 min ab dhakan laga dien k gajar,Shimla mirch aur band gobhi bhi gal jayein to namak check ekr lein agar kam lage to thori aur miqdar chukiyon ki surat aur namak bhi chutkiyon ki surat add kerien kam ho to barha lein zyada ho to chawal k sath mil ker sab set ho jaye ga ab is main garam masala daliye aur 1 min bhunein ab is main omlate jo bnaya tha dalein mix kerne k baad is main aik kani jo chawal ubale thay woh dal dein achay se mix kerne aur dheemi aanch per dum per laga dein
3 min baad check kerien gal jayein to theek warna 2 min aur rakh lein chawal pak jaye to dishout ker k sab k smanay paish kerien aur tareefein wasul kijiye
{Aik Tip
Ap jab yeh chawal paka rahe hon to sar ko lapait lein k bal chupe hon khawateen duppatay se apna sar dhanp lein aur shuru waat Bismmilah se karein aur her chiz jo bi dalein chahye choti se choti chiz kune na ho ap ne Bismillah aprhni hai parhna bhool b jayein to baad main jab yaad aaye pakate hue to parhein
Bismilalh Irhman niraheem Awalau wa akhiratu
yeh perh lein aur jab Dam per lagayein to dil mein kahein K Aye Allah main ne tera nam le ekr pakana shuru kiya tha is main barkat tu ne dalni hai Zaiqa tu ne dena hai Aur sab theek bane}
Insha Allah Dekhiye ga sab itna mazay ka lage ga aur sab ko itna apsand aaye ga jaise restuarnt ka bana hai q k yeh main ne 1st time bnaye Is seqabal chicken pastery b 1st time banayi Lab e sheerin b 1st time epr isi tip ko apnaye Rakha to alhamdulilah 1st time bnayi per Tareef bhai k inlaws,realtiv meri friend bhaiya k friend ki traf sab ne tareef ki aur mash Allah itni barkat parhti hai k aap kisi k yahan bhijwa do khud bhi kha lo to bhi chawal rehte hain alhamdulilah is tip ko apnaiye aur khud b koi tajarbna karein aur dad wasul kijiye family se
| |
|
Mehwi Admin
Posts : 167 Points : 437 Reputation : 0 Join date : 2009-05-10 Age : 38 Location : kuwait
| Subject: Daal Chana+Boiled Rice+Lemon Salad.................. Fri Jun 19, 2009 10:18 am | |
| | |
|
Mehwi Admin
Posts : 167 Points : 437 Reputation : 0 Join date : 2009-05-10 Age : 38 Location : kuwait
| |
Sponsored content
| Subject: Re: Chicken Fried Rice...... | |
| |
|