Subject: Tu na tha mere mahr-o-wafa ke kaabil.... Wed Jun 10, 2009 8:02 pm
Har pal chaaha tha tere liye ek naya aasmaan Jeene ko uksaati rahi deke sau-sau bahaane Raat saari jaagti thi tere liye zindagi ki duon main Khuda se maangti thi tere liye saare zamaane
Aaj wohi main hun wohi raat hai wohi tanhaai hai Lekin aaj na wo baat hai na halaat hai na jazbaat hai Jaagti hun tere yaad main lekin tadapti hun palpal Aaj maangti hun KHuda se apne liye mout har pal
Teri bewafaai ne khoon rulaaya hai mujhe Ab hogai hun nidhaal gham ke bojh se Ya to doob jaaungi is gham ke bhanwar main Ya ubhar jaaungi zindagi ki nayi sehar main
Tay karega waqt kis oor mujhko jaana hai Dafn karke tujhko aur teri har ik yaad Waqt ke saanche main dhal jaaaungi main Tujh se bohot duur chali jaaungi main
Reh jaaig tu bas ik kadwa pal bankar Meri nas-nas main daudega zehar bankar Nikaal dungi tujh ko apni zaat se ek din Dafn kardungi tere har jazbaat ko ek din
Tu na tha mere mahr-o-wafa ke kaabil Meri ghazlon-nazmon main ab tera ziqr hoga Bewafaai ke qisse sangdili ke fasaane honge “Saadi” ke ashqon se likhe afsaane honge.