Posts : 167 Points : 437 Reputation : 0 Join date : 2009-05-10 Age : 37 Location : kuwait
Subject: mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan... Mon Jun 01, 2009 7:50 pm
mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan jaisay mahtab ko be-ant samander chahay jaisay sooraj ki kiran seep ke dil mai utray jaisay khushbu ko hawa, rung se hut ker chahay jaisay pathhar ke kalaijay se kiran phoot-ti hai jaisay ghunchay khulay mausam se hina mangtay hein jaisay khaaboan mai khayaloan ki kamaan toot-ti hai jaisay barish ki dua aabla-pa mangtay hein mera har khaab meray such ki gawahi de ga wus'at-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai meri sochoan mai kabhi dekh sarapa apna! mai ne duniya se alag teri parastish ki hai khaahis-e-deed ka mausam kabhi dhundla jo hua noach daali hain zamanay ki naqabain mai ne teri palkoan pay utarti hui subhoan k liye toar daali hain sitaroan ki tanabain main ne mai nay chaha keh teray husn ki gulnaar fiza meri ghazlon ki qataron se mehekti jaey mai ne chaha keh meray fun ke gulistaan ki bahaar teri aankhoan ke gulaboan se mehekti jaye tai to yeh tha keh sajata rahay lafzoan ke kanwal meray khamosh khayaloan mai takallum tera raqs kerta rahay, bharta rahay, khushbu ka khumaar meri khaahish ke jazeeroan mein takallum tera tu magar ajnabi mahol ki parwardah kiran meri bujhti hoi ratoan ko sahar ker na saki teri sansoan mai maseehai to thee laikin tu bhee chara-e-zakhm- e-gham-e- deeda-e-tarr, ker na saki tujh ko maloom hi kab hai keh kisi dard ka daagh aankh se dil mein utar jaey to kya hota hai??? tu keh seemab tabiyat hai tujhe kya maloom mausam-e-hijr theher jaey to kya hota hai tu nay uss moar pay tora hai ta'alluq keh jahan dekh sakta nahin koi bhee palat ker janaan abb yeh aalam hai keh ankhain jo khulain gee apni yaad aey ga teri deed ka manzar janaan mujh se maangay ga teray ehd-e-mohobbat ka hisaab teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaan yoon meray dil ke barabar tera gham aya hai jaisay sheeshay ke maqabil koi pathhar janaan!!! jaisay mahtaab ko be-ant samander chahay mai ne iss taur se chaha tujhay aksar janaan!!